shab-e-wada jo na wo bani-e-be-dad aaya
shab-e-wada jo na wo bani-e-be-dad aaya
Sayyad Ameer Hasan Badr
MORE BYSayyad Ameer Hasan Badr
shab-e-va.ada jo na vo bānī-e-be-dād aaya
le ke paiġhām-e-ajal dard-e-ḳhudā-dād aaya
tū na aaya na tirā nāvak-e-bedād aaya
kaun sāġhar-kash-e-ḳhūn-e-dil-e-nāshād aaya
āshiyāñ mausam-e-gul meñ jo mujhe yaad aaya
aise naale kiye muñh ko dil-e-sayyād aaya
jab koī kūche se us shoḳh ke dil-shād aaya
maiñ ne khāyā thā jo dhokā vo mujhe yaad aaya
baaġh meñ pesh-e-nazar jab koī shamshād aaya
mujh ko terā qad-e-be-sāya bahut yaad aaya
kaisī āzādī-e-murġhān-e-ḳhush-ilhān-e-chaman
yūñhī be-par kī uḌātā huā sayyād aaya
dil kī chorī kā gumāñ aur karūñ maiñ kis par
na gayā koī na ai bānī-e-be-dād aaya
dekh kar tishna-labī hashr meñ ham rindoñ kī
jām-e-kausar liye jibrīl kā ustād aaya
bāñkpan āshiq-e-dīvāna-e-mizhgāñ ke huzūr
nok kī lene kahāñ nashtar-e-fassād aaya
bevafā ahd-farāmosh sitamgar zālim
haa.e aaya bhī to kis par dil-e-nāshād aaya
iffat-o-sharm-o-hayā ismat-o-nāmūs-o-ġhurūr
kitne pardoñ meñ chhupā husn-e-ḳhudā-dād aaya
saḳht-jānī kā mirī Dar thā kuchh aisā us ko
maan kar nazr shahīdoñ kī vo jallād aaya
tere bīmār-e-shab-e-ġham kī ayādat ke liye
ġhash kabhī aaya kabhī dard-e-ḳhudā-dād aaya
saad kar do sifat-e-chashm meñ matl.a jo likhūñ
mus.haf-e-husn kā mujh ko hai yahī yaad aaya
peshvā.ī ke liye kis kī baḌhī hai rahmat
kaun phailā.e hue dāman-e-fariyād aaya
tum to ġhurbat meñ bhī yaad aaya kiye ho mujh ko
maiñ bhī yārān-e-vatan tum ko kabhī yaad aaya
koh-o-sahrā tire dīvānoñ se ābād rahe
qais-o-vāmiq kabhī aa.e kabhī farhād aaya
mujh ko kushta nigah-e-chashm-e-ināyat se kiyā
qatl ko mīThī chhurī le ke vo jallād aaya
baiThe baiThe tumheñ phir mashq-e-sitam kī sūjhī
tum ko bhūlā huā phir aaj sabaq yaad aaya
ḳhush-qadoñ ne jo kiyā sher-o-suḳhan kā jalsa
tarah hone ke liye misra.a-e-shamshād aaya
pahre paḌte haiñ ajal ke sahar-o-shām yahīñ
dekh ai 'badr' sañbhal kūcha-e-jallād aaya
shab-e-wada jo na wo bani-e-be-dad aaya
le ke paigham-e-ajal dard-e-KHuda-dad aaya
tu na aaya na tera nawak-e-bedad aaya
kaun saghar-kash-e-KHun-e-dil-e-nashad aaya
aashiyan mausam-e-gul mein jo mujhe yaad aaya
aise nale kiye munh ko dil-e-sayyaad aaya
jab koi kuche se us shoKH ke dil-shad aaya
main ne khaya tha jo dhoka wo mujhe yaad aaya
bagh mein pesh-e-nazar jab koi shamshad aaya
mujh ko tera qad-e-be-saya bahut yaad aaya
kaisi aazadi-e-murghan-e-KHush-ilhan-e-chaman
yunhi be-par ki uData hua sayyaad aaya
dil ki chori ka guman aur karun main kis par
na gaya koi na ai bani-e-be-dad aaya
dekh kar tishna-labi hashr mein hum rindon ki
jam-e-kausar liye jibril ka ustad aaya
bankpan aashiq-e-diwana-e-mizhgan ke huzur
nok ki lene kahan nashtar-e-fassad aaya
bewafa ahd-faramosh sitamgar zalim
hae aaya bhi to kis par dil-e-nashad aaya
iffat-o-sharm-o-haya ismat-o-namus-o-ghurur
kitne pardon mein chhupa husn-e-KHuda-dad aaya
saKHt-jaani ka meri Dar tha kuchh aisa us ko
man kar nazr shahidon ki wo jallad aaya
tere bimar-e-shab-e-gham ki ayaadat ke liye
ghash kabhi aaya kabhi dard-e-KHuda-dad aaya
sad kar do sifat-e-chashm mein matla jo likhun
mushaf-e-husn ka mujh ko hai yahi yaad aaya
peshwai ke liye kis ki baDhi hai rahmat
kaun phailae hue daman-e-fariyaad aaya
tum to ghurbat mein bhi yaad aaya kiye ho mujh ko
main bhi yaran-e-watan tum ko kabhi yaad aaya
koh-o-sahra tere diwanon se aabaad rahe
qais-o-wamiq kabhi aae kabhi farhad aaya
mujh ko kushta nigah-e-chashm-e-inayat se kiya
qatl ko miThi chhuri le ke wo jallad aaya
baiThe baiThe tumhein phir mashq-e-sitam ki sujhi
tum ko bhula hua phir aaj sabaq yaad aaya
KHush-qadon ne jo kiya sher-o-suKHan ka jalsa
tarah hone ke liye misra-e-shamshad aaya
pahre paDte hain ajal ke sahar-o-sham yahin
dekh ai 'badr' sanbhal kucha-e-jallad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.