shab-e-wasl aur lab pe nafrat ki baaten
shab-e-vasl aur lab pe nafrat kī bāteñ
mohabbat se kiije mohabbat kī bāteñ
lahū sīna-e-sang se phuuT nikle
sunā.ūñ jo ai dost ġhurbat kī bāteñ
mirā dil mohabbat se ab bhar chukā hai
na kiije meherbāñ mohabbat kī bāteñ
na hamdam hai koī kisī kā na monis
dikhāve kī hotī haiñ chāhat kī bāteñ
na dushnām diije ye achchhā nahīñ hai
sharīfoñ se kiije sharāfat kī bāteñ
kudūrat har ik dil meñ ghar kar chukī hai
har ik kar rahā hai zarūrat kī bāteñ
abhī tak mujhe yaad haiñ ai 'girāmī'
vo maḳhmūr rāteñ vo ḳhalvat kī bāteñ
shab-e-wasl aur lab pe nafrat ki baaten
mohabbat se kije mohabbat ki baaten
lahu sina-e-sang se phuT nikle
sunaun jo ai dost ghurbat ki baaten
mera dil mohabbat se ab bhar chuka hai
na kije meherban mohabbat ki baaten
na hamdam hai koi kisi ka na monis
dikhawe ki hoti hain chahat ki baaten
na dushnam dije ye achchha nahin hai
sharifon se kije sharafat ki baaten
kudurat har ek dil mein ghar kar chuki hai
har ek kar raha hai zarurat ki baaten
abhi tak mujhe yaad hain ai 'girami'
wo maKHmur raaten wo KHalwat ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.