shab-e-wasl hum muKHtasar dekhte hain
shab-e-vasl ham muḳhtasar dekhte haiñ
idhar aañkh jhapkī sahar dekhte haiñ
marīz-e-mohabbat kī ho ḳhair yā-rab
ye rah rah ke kyoñ chārāgar dekhte haiñ
pa.e-pursish-e-ġham koī aa rahā hai
ham aahoñ kā apnī asar dekhte haiñ
hameñ yaad aatā hai sehn-e-gulistāñ
jo zindāñ ke dīvār-o-dar dekhte haiñ
har ik shai meñ hai tere jalvoñ kā partav
tujhe saaf ahl-e-nazar dekhte haiñ
tasavvur jo hai zulf-o-āriz kā un kī
ba-yak-vaqt shām-o-sahar dekhte haiñ
asar kar chalī hai mirī aah 'paikar'
unheñ aaj nazdīk-tar dekhte haiñ
shab-e-wasl hum muKHtasar dekhte hain
idhar aankh jhapki sahar dekhte hain
mariz-e-mohabbat ki ho KHair ya-rab
ye rah rah ke kyon chaaragar dekhte hain
pae-pursish-e-gham koi aa raha hai
hum aahon ka apni asar dekhte hain
hamein yaad aata hai sehn-e-gulistan
jo zindan ke diwar-o-dar dekhte hain
har ek shai mein hai tere jalwon ka partaw
tujhe saf ahl-e-nazar dekhte hain
tasawwur jo hai zulf-o-ariz ka un ki
ba-yak-waqt sham-o-sahar dekhte hain
asar kar chali hai meri aah 'paikar'
unhen aaj nazdik-tar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.