shab-e-wasl unhen zid agar ho gai
shab-e-wasl unhen zid agar ho gai
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
shab-e-vasl unheñ zid agar ho ga.ī
naqāb uThte uThte sahar ho ga.ī
shab-e-vasl kyā muḳhtasar ho ga.ī
palak mārte hī sahar ho ga.ī
agar un kī tirchhī nazar ho ga.ī
mirī jaan sīna-sipar ho ga.ī
na kuchh mū-shigāfoñ se uqda khulā
muammā tumhārī kamar ho ga.ī
lagī hai jo ashkoñ kī har dam jhaḌī
ghaTā kyā mirī chashm-e-tar ho ga.ī
haram chhoḌ kar maiñ gayā sū-e-dair
tabī.at kidhar se kidhar ho ga.ī
nahīñ rahm us sang-dil ko zarā
mirī aah kyā be-asar ho ga.ī
chhupāyā bahut ishq ham ne magar
unheñ sab se pahle ḳhabar ho ga.ī
ḳhabar lī na us ġhairat-e-māh ne
taḌapte rahe raat bhar ho ga.ī
nahīñ kaaTe kaTtī hai furqat kī shab
ghaḌī mujh ko ik ik pahar ho ga.ī
chhue paañv maiñ ne jo us shoḳh ke
hinā bā.is-e-dard-e-sar ho ga.ī
buto tum ko sajde kiye is qadar
hamārī jabīñ sang-e-dar ho ga.ī
kiyā us shakar-lab ne e.ajāz ye
bajā.ī jo nai nai-shakar ho ga.ī
jamāyā jo 'vahbī' ne apnā qadam
laḌā.ī mohabbat kī sar ho ga.ī
shab-e-wasl unhen zid agar ho gai
naqab uThte uThte sahar ho gai
shab-e-wasl kya muKHtasar ho gai
palak marte hi sahar ho gai
agar un ki tirchhi nazar ho gai
meri jaan sina-sipar ho gai
na kuchh mu-shigafon se uqda khula
muamma tumhaari kamar ho gai
lagi hai jo ashkon ki har dam jhaDi
ghaTa kya meri chashm-e-tar ho gai
haram chhoD kar main gaya su-e-dair
tabiat kidhar se kidhar ho gai
nahin rahm us sang-dil ko zara
meri aah kya be-asar ho gai
chhupaya bahut ishq hum ne magar
unhen sab se pahle KHabar ho gai
KHabar li na us ghairat-e-mah ne
taDapte rahe raat bhar ho gai
nahin kaTe kaTti hai furqat ki shab
ghaDi mujh ko ek ek pahar ho gai
chhue panw main ne jo us shoKH ke
hina bais-e-dard-e-sar ho gai
buto tum ko sajde kiye is qadar
hamari jabin sang-e-dar ho gai
kiya us shakar-lab ne eajaz ye
bajai jo nai nai-shakar ho gai
jamaya jo 'wahbi' ne apna qadam
laDai mohabbat ki sar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.