shab-e-visal ka manzar nafas nafas mein rakha
shab-e-visāl kā manzar nafas nafas meñ rakhā
kuchh is tarah se ḳhud apne ko us ke bas meñ rakhā
jo chiḌiyā rabt ke marne se mar bhī saktī thī
use daraḳht se laTke hue qafas meñ rakhā
kisī badan kī tapish se bachā liyā ḳhud ko
ye kis ne ruuh ke TukḌe ko bul-havas meñ rakhā
sukūt-e-marg mujhe zindagī ke rahte milā
ho jaise ḳhalvat-e-ġham nāla-e-jaras meñ rakhā
bharam kā dā.era ek din simaT bhī jaanā hai
tamām umr kise kis ne pesh-o-pas meñ rakhā
shab-e-visal ka manzar nafas nafas mein rakha
kuchh is tarah se KHud apne ko us ke bas mein rakha
jo chiDiya rabt ke marne se mar bhi sakti thi
use daraKHt se laTke hue qafas mein rakha
kisi badan ki tapish se bacha liya KHud ko
ye kis ne ruh ke TukDe ko bul-hawas mein rakha
sukut-e-marg mujhe zindagi ke rahte mila
ho jaise KHalwat-e-gham nala-e-jaras mein rakha
bharam ka daera ek din simaT bhi jaana hai
tamam umr kise kis ne pesh-o-pas mein rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.