shab-e-visal ki hasrat ne mar Dala hai
shab-e-visāl kī hasrat ne maar Daalā hai
faqīr-e-ishq ko chāhat ne maar Daalā hai
sunā hai ishq meñ marte haiñ be-vafā.ī se
mujhe to terī mohabbat ne maar Daalā hai
zarā sī baat pe laḌkī na ḳhud-kushī kartī
use samāj kī ġhairat ne maar Daalā hai
use hī chhoḌnā paḌtā hai ghar mohabbat kā
jise bhī ghar kī zarūrat ne maar Daalā hai
bahut se log zalālat meñ maare jaate haiñ
kisī kisī ko sharāfat ne maar Daalā hai
vabā ye kaisī hai baiThe haiñ log haath dhare
sabhī ko ek sī fursat ne maar Daalā hai
shab-e-visal ki hasrat ne mar Dala hai
faqir-e-ishq ko chahat ne mar Dala hai
suna hai ishq mein marte hain be-wafai se
mujhe to teri mohabbat ne mar Dala hai
zara si baat pe laDki na KHud-kushi karti
use samaj ki ghairat ne mar Dala hai
use hi chhoDna paDta hai ghar mohabbat ka
jise bhi ghar ki zarurat ne mar Dala hai
bahut se log zalalat mein mare jate hain
kisi kisi ko sharafat ne mar Dala hai
waba ye kaisi hai baiThe hain log hath dhare
sabhi ko ek si fursat ne mar Dala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.