shab-e-visal mein bezar hain sharab se hum
shab-e-visal mein bezar hain sharab se hum
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
shab-e-visāl meñ bezār haiñ sharāb se ham
ki aaj rakhte haiñ sad naam āftāb se ham
yahī hai chashma-e-āb-e-hayāt bas ai ḳhizr
na badleñ is ko to ik qatra-e-sharāb se ham
hue hamesha ko ranj-e-ḳhumār se fāriġh
milā ke aañkh kisī chashm-e-nīm-ḳhvāb se ham
chale haiñ dair se uTh kar sū-e-haram 'ārif'
rah-e-ḳhatā pe phir aa.e rah-e-savāb se ham
shab-e-visal mein bezar hain sharab se hum
ki aaj rakhte hain sad nam aaftab se hum
yahi hai chashma-e-ab-e-hayat bas ai KHizr
na badlen is ko to ek qatra-e-sharab se hum
hue hamesha ko ranj-e-KHumar se farigh
mila ke aankh kisi chashm-e-nim-KHwab se hum
chale hain dair se uTh kar su-e-haram 'arif'
rah-e-KHata pe phir aae rah-e-sawab se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.