shab-e-visal shab-e-intizar aai hai
shab-e-visāl shab-e-intizār aa.ī hai
ḳhizāñ meñ dekhiye kaisī bahār aa.ī hai
hazār ġhuncha-e-gul par bahār aa.ī hai
sabā chaman se magar be-qarār aa.ī hai
kisī kī yaad jo ruḳhsat huī mire dil se
sahar udaas to shab sogvār aa.ī hai
hamārī ruuh fanā kī masarratoñ ke liye
qabā-e-tan sar-e-ālam utaar aa.ī hai
ye mai-kashī thī ki parda-darī ki mahfil meñ
kisī kī yaad ba-vaqt-e-ḳhumār aa.ī hai
kahīñ zarūr huā hai chaman meñ qatl-e-tuyūr
lahū kī buuñd ba-dosh-e-ġhubār aa.ī hai
hazār ḳhaam thī phir bhī mirī umiid 'kamal'
shabāb-e-shām-e-tamannā nikhār aa.ī hai
shab-e-visal shab-e-intizar aai hai
KHizan mein dekhiye kaisi bahaar aai hai
hazar ghuncha-e-gul par bahaar aai hai
saba chaman se magar be-qarar aai hai
kisi ki yaad jo ruKHsat hui mere dil se
sahar udas to shab sogwar aai hai
hamari ruh fana ki masarraton ke liye
qaba-e-tan sar-e-alam utar aai hai
ye mai-kashi thi ki parda-dari ki mahfil mein
kisi ki yaad ba-waqt-e-KHumar aai hai
kahin zarur hua hai chaman mein qatl-e-tuyur
lahu ki bund ba-dosh-e-ghubar aai hai
hazar KHam thi phir bhi meri umid 'kamal'
shabab-e-sham-e-tamanna nikhaar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.