shab-e-visal tulua aaftab kaise hua
shab-e-visāl tulūa āftāb kaise huā
zamīñ pe itnā baḌā inqalāb kaise huā
sitāra mū-e-badan ruḳh gulāb kaise huā
tumhārā jism havas kī kitāb kaise huā
laboñ se kaam burish kā liyā gayā hogā
ki añg añg tirā mehr-tāb kaise huā
zarūr laḌkiyāñ paanī meñ tairtī hoñgī
nahīñ to saarā samundar sharāb kaise huā
kahāñ se aa ga.e ḳhushiyoñ ke bāvre panchhī
ki mujh pe band har ik ġham kā baab kaise huā
ye kis ne chhīn lī bīnā.ī āsmānoñ se
zamīñ ke jism pe nāzil 'azāb kaise huā
kisī ne yaad ke kankar zarūr pheñke haiñ
ḳhamosh jhiil meñ ye iztirāb kaise huā
ise samajhne ko ik 'umr chāhiye jānāñ
'munīr' asl meñ terā ḳharāb kaise huā
shab-e-visal tulua aaftab kaise hua
zamin pe itna baDa inqalab kaise hua
sitara mu-e-badan ruKH gulab kaise hua
tumhaara jism hawas ki kitab kaise hua
labon se kaam burish ka liya gaya hoga
ki ang ang tera mehr-tab kaise hua
zarur laDkiyan pani mein tairti hongi
nahin to sara samundar sharab kaise hua
kahan se aa gae KHushiyon ke bawre panchhi
ki mujh pe band har ek gham ka bab kaise hua
ye kis ne chhin li binai aasmanon se
zamin ke jism pe nazil 'azab kaise hua
kisi ne yaad ke kankar zarur phenke hain
KHamosh jhil mein ye iztirab kaise hua
ise samajhne ko ek 'umr chahiye jaanan
'munir' asl mein tera KHarab kaise hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.