shab-e-zulmat mein bhi hum raushni ki baat karte hain
shab-e-zulmat meñ bhī ham raushnī kī baat karte haiñ
ġhamoñ ke daur meñ bhī ham ḳhushī kī baat karte haiñ
hazāroñ ḳhvāhisheñ dil meñ liye chalte haiñ har lamha
ajal raqsāñ magar ham zindagī kī baat karte haiñ
hameñ mā'lūm hai auqāt apnī kyā hai duniyā meñ
magar phir bhī hamesha ham ḳhudī kī baat karte haiñ
ġham-e-duniyā ke maare haiñ muqaddar ke satā.e ham
magar phir bhī hamesha dil-lagī kī baat karte haiñ
zamāna dushmanī kī baat karte karte guzrā hai
chalo kuchh der 'ash.har' dostī kī baat karte haiñ
shab-e-zulmat mein bhi hum raushni ki baat karte hain
ghamon ke daur mein bhi hum KHushi ki baat karte hain
hazaron KHwahishen dil mein liye chalte hain har lamha
ajal raqsan magar hum zindagi ki baat karte hain
hamein ma'lum hai auqat apni kya hai duniya mein
magar phir bhi hamesha hum KHudi ki baat karte hain
gham-e-duniya ke mare hain muqaddar ke satae hum
magar phir bhi hamesha dil-lagi ki baat karte hain
zamana dushmani ki baat karte karte guzra hai
chalo kuchh der 'ashhar' dosti ki baat karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.