shab josh-e-girya tha mujhe yaad sharab mein
shab josh-e-girya tha mujhe yaad sharab mein
Mufti Sadruddin Aazurda
MORE BYMufti Sadruddin Aazurda
shab josh-e-girya thā mujhe yaad sharāb meñ
thā ġharq maiñ tasavvur-e-ātish se aab meñ
yārab vo ḳhvāb-e-haq meñ mire ḳhvāb marg ho
aave vo mast-e-ḳhvāb agar mere ḳhvāb meñ
yārab ye kis ne chehre se ulTā naqāb jo
sau raḳhne ab nikalne lage āftāb meñ
kyā aql mohtasib kī ki laayā hai khīñch kar
saudā-zadoñ ko mahkama-e-ehtisāb meñ
ham jān-o-dil ko de chuke mauhūm umiid par
ab ho so ho Dubo de ye kashtī sharāb meñ
kuchh bhī lagī na rakkhī Dubo dī rahī sahī
dil ko na Dālnā thā savāl-o-javāb meñ
ulfat meñ un kī ab to hai jānoñ kī paḌ ga.ī
dil kis shumār meñ hai jigar kis hisāb meñ
the justujū meñ roz-e-azal jā-e-dard kī
aayā pasand dil mirā is intiḳhāb meñ
shab josh-e-girya tha mujhe yaad sharab mein
tha gharq main tasawwur-e-atish se aab mein
yarab wo KHwab-e-haq mein mere KHwab marg ho
aawe wo mast-e-KHwab agar mere KHwab mein
yarab ye kis ne chehre se ulTa naqab jo
sau raKHne ab nikalne lage aaftab mein
kya aql mohtasib ki ki laya hai khinch kar
sauda-zadon ko mahkama-e-ehtisab mein
hum jaan-o-dil ko de chuke mauhum umid par
ab ho so ho Dubo de ye kashti sharab mein
kuchh bhi lagi na rakkhi Dubo di rahi sahi
dil ko na Dalna tha sawal-o-jawab mein
ulfat mein un ki ab to hai jaanon ki paD gai
dil kis shumar mein hai jigar kis hisab mein
the justuju mein roz-e-azal ja-e-dard ki
aaya pasand dil mera is intiKHab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.