shab ka daman aansuon se nam na kar
shab kā dāman āñsuoñ se nam na kar
is qadar bhī hijr kā mātam na kar
sab tamāshā.ī agar haiñ shahr meñ
tū magar raqs-e-junūñ kuchh kam na kar
sub.h ke āsār dete haiñ fareb
lau charāġhoñ kī abhī maddham na kar
apne hone ke bahut haiñ dukh yahāñ
apne nā hone kā koī ġham na kar
kaun hai is dasht meñ koī nahīñ
apnī hī āvāz-e-pā se ram na kar
kuchh ghaḌī to ġham se rakh āzād bhī
jabr dil par is qadar paiham na kar
jo likhā qismat meñ hai hogā vahī
be-sabab lā-hāsilī kā ġham na kar
tū agar dariyā hai rakh apnā vajūd
bahr meñ duniyā ke ḳhud ko zam na kar
shab ka daman aansuon se nam na kar
is qadar bhi hijr ka matam na kar
sab tamashai agar hain shahr mein
tu magar raqs-e-junun kuchh kam na kar
subh ke aasar dete hain fareb
lau charaghon ki abhi maddham na kar
apne hone ke bahut hain dukh yahan
apne na hone ka koi gham na kar
kaun hai is dasht mein koi nahin
apni hi aawaz-e-pa se ram na kar
kuchh ghaDi to gham se rakh aazad bhi
jabr dil par is qadar paiham na kar
jo likha qismat mein hai hoga wahi
be-sabab la-hasili ka gham na kar
tu agar dariya hai rakh apna wajud
bahr mein duniya ke KHud ko zam na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.