shab ki aaghosh mein jaga hua ghar kis ka hai
shab kī āġhosh meñ jaagā huā ghar kis kā hai
us pe aaseb nahīñ hai to asar kis kā hai
aisā sailāb ki jangal ko bahā le jaa.e
aise sailāb meñ be-barg shajar kis kā hai
uñgliyoñ meñ utar aa.e haiñ basārat ke rumūz
tīrgī meñ rahe maḳhfī ye hunar kis kā hai
be-charāġhī hī rahī apne gharoñ kī mīrās
raushnī pūchhtī phirtī hai ki dar kis kā hai
vo musāfir to gayā chhoḌ ke yādeñ apnī
kis ko batlā.ūñ ki ye zād-e-safar kis kā hai
tum mirī raah se ho kar nahīñ guzre ho to phir
naqsh-e-pā ye taraf-e-rāhguzar kis kā hai
phir se mad.hosh-e-tamanna ke hue hosh-ba-jā
ham pe 'ābid' ye karam bār-e-digar kis kā hai
shab ki aaghosh mein jaga hua ghar kis ka hai
us pe aaseb nahin hai to asar kis ka hai
aisa sailab ki jangal ko baha le jae
aise sailab mein be-barg shajar kis ka hai
ungliyon mein utar aae hain basarat ke rumuz
tirgi mein rahe maKHfi ye hunar kis ka hai
be-charaghi hi rahi apne gharon ki miras
raushni puchhti phirti hai ki dar kis ka hai
wo musafir to gaya chhoD ke yaaden apni
kis ko batlaun ki ye zad-e-safar kis ka hai
tum meri rah se ho kar nahin guzre ho to phir
naqsh-e-pa ye taraf-e-rahguzar kis ka hai
phir se madhosh-e-tamanna ke hue hosh-ba-ja
hum pe 'abid' ye karam bar-e-digar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.