shab ki chadar se lipaT kar gham ka paikar so gaya
shab kī chādar se lipaT kar ġham kā paikar so gayā
jitnī yādeñ thiiñ vo āñkhoñ meñ chhupā kar so gayā
koī merī bekasī kā is se andāza kare
rakh ke apne sar ke nīche raat pathar so gayā
shūmī-e-taqdīr kahte haiñ isī ko ġhāliban
maiñ uThā to dekhiye merā muqaddar so gayā
allāh allāh koī is kī be-hisī ko kyā kahe
sun ke ta.ane chup rahā khā khā ke pathar so gayā
raat thī kitnī kaThin is kā na aalam pūchhiye
jis se ghabrā kar ke niklā ghar ke bāhar so gayā
kas qadar tūfān thā kal raat bahr-e-dard maiñ
sub.h hote hī vo siine kā samundar so gayā
shab ki chadar se lipaT kar gham ka paikar so gaya
jitni yaaden thin wo aankhon mein chhupa kar so gaya
koi meri bekasi ka is se andaza kare
rakh ke apne sar ke niche raat pathar so gaya
shumi-e-taqdir kahte hain isi ko ghaaliban
main uTha to dekhiye mera muqaddar so gaya
allah allah koi is ki be-hisi ko kya kahe
sun ke tane chup raha kha kha ke pathar so gaya
raat thi kitni kaThin is ka na aalam puchhiye
jis se ghabra kar ke nikla ghar ke bahar so gaya
kas qadar tufan tha kal raat bahr-e-dard main
subh hote hi wo sine ka samundar so gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.