shab ki palkon pe hun Thahre hue aansu ki tarah
shab kī palkoñ pe huuñ Thahre hue aañsū kī tarah
sub.h hote hī maiñ kho jā.ūñgā jugnū kī tarah
dekh saktā nahīñ mahsūs to kar saktā huuñ
mujh meñ tahlīl huā hai koī ḳhushbū kī tarah
raqs kartā hai mire dil ke shabistāñ meñ koī
aur sadā aatī hai bajte hue ghuñghrū kī tarah
merī ḳhushbū hī pareshān kiye hai mujh ko
dil ke sahrā meñ bhaTaktā huuñ maiñ aahū kī tarah
mere hālāt hī ḳhud mujh ko banā dete haiñ
kabhī sho.ala kabhī shabnam kabhī aañsū kī tarah
ḳhalvat-e-shab ho ki jalvat kī hasīñ mahfil ho
ham ne mahsūs kiyā hai use ḳhushbū kī tarah
dhuup meñ aatā hai jab us kā tasavvur 'afzal'
mere ehsās pe chhā jaatā hai gesū kī tarah
shab ki palkon pe hun Thahre hue aansu ki tarah
subh hote hi main kho jaunga jugnu ki tarah
dekh sakta nahin mahsus to kar sakta hun
mujh mein tahlil hua hai koi KHushbu ki tarah
raqs karta hai mere dil ke shabistan mein koi
aur sada aati hai bajte hue ghunghru ki tarah
meri KHushbu hi pareshan kiye hai mujh ko
dil ke sahra mein bhaTakta hun main aahu ki tarah
mere haalat hi KHud mujh ko bana dete hain
kabhi shoala kabhi shabnam kabhi aansu ki tarah
KHalwat-e-shab ho ki jalwat ki hasin mahfil ho
hum ne mahsus kiya hai use KHushbu ki tarah
dhup mein aata hai jab us ka tasawwur 'afzal'
mere ehsas pe chha jata hai gesu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.