shab ki sari raushni ko raegan karti hui
shab kī saarī raushnī ko rā.egāñ kartī huī
ho ga.ī ruḳhsat havā sham'eñ dhuāñ kartī huī
mujh ko apne aap se bhī bad-gumāñ kartī huī
zindagī achchhī lagī kār-e-ziyāñ kartī huī
is tarah guzrī hai mere paas se yādoñ kī dhuup
barf thā maiñ vo mujhe āb-e-ravāñ kartī huī
ye tirī chashm-e-ġhazālāñ terī mastāna ravish
ik tavānā jism ko bhī nā-tavāñ kartī huī
maiñ ne dekhā hai vo dāman bhī jise kal nīm-shab
do sitāra-sāz āñkheñ āsmāñ kartī huī
jaane kaisī dhuup thī mere rag-o-pai meñ 'ziyā'
gulshan-e-dil ke har ik gul ko ḳhizāñ kartī huī
shab ki sari raushni ko raegan karti hui
ho gai ruKHsat hawa sham'en dhuan karti hui
mujh ko apne aap se bhi bad-guman karti hui
zindagi achchhi lagi kar-e-ziyan karti hui
is tarah guzri hai mere pas se yaadon ki dhup
barf tha main wo mujhe aab-e-rawan karti hui
ye teri chashm-e-ghazalan teri mastana rawish
ek tawana jism ko bhi na-tawan karti hui
main ne dekha hai wo daman bhi jise kal nim-shab
do sitara-saz aankhen aasman karti hui
jaane kaisi dhup thi mere rag-o-pai mein 'ziya'
gulshan-e-dil ke har ek gul ko KHizan karti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.