shab ki tanhai mein un ko yaad kar leta hun main
shab kī tanhā.ī meñ un ko yaad kar letā huuñ maiñ
hai zabāñ ḳhāmosh par fariyād kar letā huuñ maiñ
chaudhvīñ shab kā qamar jab charḳh par hañsne lage
shūmī-e-qismat ko phir se yaad kar letā huuñ maiñ
kuchh hujūm-e-yād se kuchh ārzū-e-dīd se
zindagī ko is tarah barbād kar letā huuñ maiñ
chashm-e-nam ne soz-e-dil ko kar diyā hai āshkār
ye nahīñ shikva sanam fariyād kar letā huuñ maiñ
aaj tak barbād thā 'mahshar' hai ab us ko sukūñ
dil kī vīrānī ko ḳhud ābād kar letā huuñ maiñ
shab ki tanhai mein un ko yaad kar leta hun main
hai zaban KHamosh par fariyaad kar leta hun main
chaudhwin shab ka qamar jab charKH par hansne lage
shumi-e-qismat ko phir se yaad kar leta hun main
kuchh hujum-e-yaad se kuchh aarzu-e-did se
zindagi ko is tarah barbaad kar leta hun main
chashm-e-nam ne soz-e-dil ko kar diya hai aashkar
ye nahin shikwa sanam fariyaad kar leta hun main
aaj tak barbaad tha 'mahshar' hai ab us ko sukun
dil ki virani ko KHud aabaad kar leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.