shab ki tanhai mein yaad unki satati kyon hai
shab kī tanhā.ī meñ yaad un kī satātī kyoñ hai
merī jaltī huī āñkhoñ ko rulātī kyoñ hai
rūThne ke sivā kuchh aur bahāna bhī na thā
terī 'ādat ye mire dil ko jalātī kyoñ hai
saare afsāne ko sun kar bhī tasallī na huī
ik ġhazal terī mire dil ko lubhātī kyoñ hai
mere hālāt pe ro de ye zarūrī hai magar
zindagī merī zamāne ko hañsātī kyoñ hai
ek muddat huī ā.īna na dekhā maiñ ne
un kī tasvīr mire sāmne aatī kyoñ hai
aap har roz mire dar se guzarte haiñ magar
be-ruḳhī merī tarah aap ko bhātī kyoñ hai
ye to mausam koī patjhaḌ kā nahīñ hai 'afsar'
phir mire dil kī kalī ashk bahātī kyoñ hai
shab ki tanhai mein yaad un ki satati kyon hai
meri jalti hui aankhon ko rulati kyon hai
ruThne ke siwa kuchh aur bahana bhi na tha
teri 'adat ye mere dil ko jalati kyon hai
sare afsane ko sun kar bhi tasalli na hui
ek ghazal teri mere dil ko lubhati kyon hai
mere haalat pe ro de ye zaruri hai magar
zindagi meri zamane ko hansati kyon hai
ek muddat hui aaina na dekha main ne
un ki taswir mere samne aati kyon hai
aap har roz mere dar se guzarte hain magar
be-ruKHi meri tarah aap ko bhati kyon hai
ye to mausam koi patjhaD ka nahin hai 'afsar'
phir mere dil ki kali ashk bahati kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.