shab kuchh aise chali pawan Khaali
shab kuchh aise chalī pavan ḳhālī
kar ga.ī ruuh se badan ḳhālī
laḌkiyāñ gaañv se sidhār ga.iiñ
hirniyoñ se hue ḳhutan ḳhālī
ḳhaak meñ mil ga.e haiñ sher javāñ
maut se bhar ga.e haiñ ran ḳhālī
sāneha is se baḌh ke kyā hogā
yaar baiThe haiñ anjuman ḳhālī
ham agar haiñ to kyuuñ raheñ ham se
ye zamīñ aur ye zaman ḳhālī
ab vo māh-e-munīr hai 'nāsir'
thī jo pahle-pahal kiran ḳhālī
shab kuchh aise chali pawan KHali
kar gai ruh se badan KHali
laDkiyan ganw se sidhaar gain
hirniyon se hue KHutan KHali
KHak mein mil gae hain sher jawan
maut se bhar gae hain ran KHali
saneha is se baDh ke kya hoga
yar baiThe hain anjuman KHali
hum agar hain to kyun rahen hum se
ye zamin aur ye zaman KHali
ab wo mah-e-munir hai 'nasir'
thi jo pahle-pahal kiran KHali
- Book : Pakistani Adab (Pg. 696)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.