shab mein girye pas-e-diwar kahan hote hain
shab meñ girye pas-e-dīvār kahāñ hote haiñ
ab dil-e-zār ko āzār kahāñ hote haiñ
ye jo sahrā haiñ ye gulzār kahāñ hote haiñ
abr uThte haiñ guhar-bār kahāñ hote haiñ
koī jaadū tirī zanjīr meñ hogā varna
ham se āzād giraftār kahāñ hote haiñ
shahr meñ sāhab-e-shamshīr bahut haiñ lekin
zulm se barsar-e-paikār kahāñ hote haiñ
ham to maqtal meñ unheñ roz bulāte haiñ magar
log sar dene ko tayyār kahāñ hote haiñ
jo na aa.e sar-e-bāzār numā.ish ke liye
log us shai ke ḳharīdār kahāñ hote haiñ
ḳhaak ho jaate haiñ jab shahr to hosh aatā hai
log pahle se ḳhabar-dār kahāñ hote haiñ
shab mein girye pas-e-diwar kahan hote hain
ab dil-e-zar ko aazar kahan hote hain
ye jo sahra hain ye gulzar kahan hote hain
abr uThte hain guhar-bar kahan hote hain
koi jadu teri zanjir mein hoga warna
hum se aazad giraftar kahan hote hain
shahr mein sahab-e-shamshir bahut hain lekin
zulm se barsar-e-paikar kahan hote hain
hum to maqtal mein unhen roz bulate hain magar
log sar dene ko tayyar kahan hote hain
jo na aae sar-e-bazar numaish ke liye
log us shai ke KHaridar kahan hote hain
KHak ho jate hain jab shahr to hosh aata hai
log pahle se KHabar-dar kahan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.