Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab mein sahar mein sham mein teri talash ho

Sayyed Mohammad Mehdi Ali

shab mein sahar mein sham mein teri talash ho

Sayyed Mohammad Mehdi Ali

MORE BYSayyed Mohammad Mehdi Ali

    shab meñ sahar meñ shaam meñ terī talāsh ho

    jaise kisī ġharīb ko fikr-e-ma.āsh ho

    rasm-e-vafā yahī hai tabassum laboñ pe ho

    garche ye jism ruuh talak paash paash ho

    batlāo hameñ le ke chale aa.eñ kashtiyāñ

    dil ke samundaroñ meñ agar irti.āsh ho

    ye ḳhvāhishoñ se jaan chhuḌāne vaqt hai

    ai kaash is zabān pe ab ke na kaash ho

    'mehdī' bas ek shaḳhs ke haq meñ mile duā

    terī ibādatoñ agar raaz faash ho

    shab mein sahar mein sham mein teri talash ho

    jaise kisi gharib ko fikr-e-maash ho

    rasm-e-wafa yahi hai tabassum labon pe ho

    garche ye jism ruh talak pash pash ho

    batlao hamein le ke chale aaen kashtiyan

    dil ke samundaron mein agar irtiash ho

    ye KHwahishon se jaan chhuDane ka waqt hai

    ai kash is zaban pe ab ke na kash ho

    'mehdi' bas ek shaKHs ke haq mein mile dua

    teri ibaadaton ka agar raaz fash ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now