shab mein suraj kahan nikalta hai
shab meñ sūraj kahāñ nikaltā hai
phir bhī merā badan pighaltā hai
ghar meñ hai bhiiḌ mehmānoñ kī
chhat se bāhar dhuāñ nikaltā hai
chāñdnī raat meñ divāna kyoñ
chāñd ke saath saath chaltā hai
us ko ronā thā merī ġhurbat par
hañs ke vo ruup kyoñ badaltā hai
kyoñ na maiñ us kā ehtirām karūñ
choT khā khā ke jo sañbhaltā hai
soch meñ lafz kho ga.e 'afsar'
she'r kahne ko dil machaltā hai
shab mein suraj kahan nikalta hai
phir bhi mera badan pighalta hai
ghar mein hai bhiD mehmanon ki
chhat se bahar dhuan nikalta hai
chandni raat mein diwana kyon
chand ke sath sath chalta hai
us ko rona tha meri ghurbat par
hans ke wo rup kyon badalta hai
kyon na main us ka ehtiram karun
choT kha kha ke jo sanbhalta hai
soch mein lafz kho gae 'afsar'
she'r kahne ko dil machalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.