shab ne kya khol diye apne mahakte gesu
shab ne kyā khol diye apne mahakte gesū
phir se yādoñ ke bahakne lage pāgal jugnū
kuchh ta.ajjub nahīñ ruk jaa.e havā kī dhaḌkan
kohr sī kohr hai phailī huī ab to har-sū
muddatoñ pahle kabhī barse the dil par patthar
aaj tak dīda-e-ehsās se bahtā hai lahū
āriz-e-shab pe jhalaktī hai yuuñ tāroñ kī laḌī
jaise tanhā.ī kī āñkhoñ meñ ḳhushī ke aañsū
dasht-e-taḳh.īl vo sahrā-e-junūñ hai 'at.har'
sirf lafzoñ kā jahāñ chal nahīñ saktā jaadū
shab ne kya khol diye apne mahakte gesu
phir se yaadon ke bahakne lage pagal jugnu
kuchh tajjub nahin ruk jae hawa ki dhaDkan
kohr si kohr hai phaili hui ab to har-su
muddaton pahle kabhi barse the dil par patthar
aaj tak dida-e-ehsas se bahta hai lahu
aariz-e-shab pe jhalakti hai yun taron ki laDi
jaise tanhai ki aankhon mein KHushi ke aansu
dasht-e-taKHil wo sahra-e-junun hai 'athar'
sirf lafzon ka jahan chal nahin sakta jadu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.