shab samne khaDi hai ujalon ka qad baDha
shab samne khaDi hai ujalon ka qad baDha
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
shab sāmne khaḌī hai ujāloñ kā qad baḌhā
dushman baḌheñ to chāhne vāloñ kā qad baḌhā
piine ke saath saath baḌhegī ye pyaas aur
sahbā ko tez kar ke piyāloñ kā qad baḌhā
apnī hudūd-e-nūr ko paiham vasī.a kar
tū chāñd ban chukā hai to hāloñ kā qad baḌhā
dekhā unheñ to apnī nigāheñ sañvar ga.iiñ
un se jo baat kī to ḳhayāloñ kā qad baḌhā
tujh ko agar lahū kī hifāzat aziiz hai
apnī ġhizā meñ paak nivāloñ kā qad baḌhā
tiflāna shoḳhiyoñ kā tujhe kyā javāb duuñ
bāliġh ho aur apne savāloñ kā qad baḌhā
terī baqā hai tere hunar hī meñ ab 'qamar'
jāda-ba-jāda apne kamāloñ kā qad baḌhā
shab samne khaDi hai ujalon ka qad baDha
dushman baDhen to chahne walon ka qad baDha
pine ke sath sath baDhegi ye pyas aur
sahba ko tez kar ke piyalon ka qad baDha
apni hudud-e-nur ko paiham wasia kar
tu chand ban chuka hai to haalon ka qad baDha
dekha unhen to apni nigahen sanwar gain
un se jo baat ki to KHayalon ka qad baDha
tujh ko agar lahu ki hifazat aziz hai
apni ghiza mein pak niwalon ka qad baDha
tiflana shoKHiyon ka tujhe kya jawab dun
baaligh ho aur apne sawalon ka qad baDha
teri baqa hai tere hunar hi mein ab 'qamar'
jada-ba-jada apne kamalon ka qad baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.