yaad teri charaghon si jalti rahi
yaad terī charāġhoñ sī jaltī rahī
raat bhar sham' sī maiñ pighaltī rahī
dil meñ tūfān jazbāt kā yuuñ uThā
mauj sāgar meñ jaise machaltī rahī
vasl kī aarzū yuuñ badan meñ chubhī
sej par karvaTeñ maiñ badaltī rahī
āñkhoñ se niiñd ke sab parinde uḌe
maiñ idhar se udhar hī Tahaltī rahī
bah rahī pyaar kī ek mujh meñ nadī
pyaar kī aag meñ phir bhī jaltī rahī
rahguzar meñ lagī hai bahut Thokareñ
maiñ girī aur gir kar sañbhaltī rahī
bas tasavvur kiyā thā 'anīs' aap kā
sāmne dekh kar aañkh maltī rahī
yaad teri charaghon si jalti rahi
raat bhar sham' si main pighalti rahi
dil mein tufan jazbaat ka yun uTha
mauj sagar mein jaise machalti rahi
wasl ki aarzu yun badan mein chubhi
sej par karwaTen main badalti rahi
aankhon se nind ke sab parinde uDe
main idhar se udhar hi Tahalti rahi
bah rahi pyar ki ek mujh mein nadi
pyar ki aag mein phir bhi jalti rahi
rahguzar mein lagi hai bahut Thokaren
main giri aur gir kar sanbhalti rahi
bas tasawwur kiya tha 'anis' aap ka
samne dekh kar aankh malti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.