shabab aagin sharab-e-arghawan malum hoti hai
Interesting Fact
(May 21, 1949) (Mushaira Delhi)
shabāb āgīñ sharāb-e-arġhavāñ ma.alūm hotī hai
ye shām-e-mai-kada kitnī javāñ ma.alūm hotī hai
yahāñ mahsūs hotī hai yahāñ ma.alūm hotī hai
ḳhalish ḳhār-e-mohabbat kī kahāñ ma.alūm hotī hai
ye kab muhtāj-e-tashrīh-o-bayāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat aap apnī tarjumāñ ma.alūm hotī hai
ravāñ mālūm hotī hai davāñ mālūm hotī hai
mohabbat mauj-e-bahr-e-be-karāñ ma.alūm hotī hai
rahīn-e-minnat-e-husn-e-butāñ ma.alūm hotī hai
zamīn-e-kū-e-jānāñ āsmāñ ma.alūm hotī hai
nihāñ mālūm hotī hai ayaañ ma.alūm hotī hai
mohabbat bhī ḳhudā-e-do-jahāñ mālūm hotī hai
mohabbat ibtidā apnī mohabbat intihā apnī
mohabbat hāsil-e-kaun-o-makāñ ma.alūm hotī hai
nahīñ koī bhī dil aisā banā.e jis meñ ghar apnā
mohabbat in dinoñ be-ḳhānumāñ mālūm hotī hai
mohabbat ko kabhī pāband-e-īn-o-āñ nahīñ paatā
mohabbat be-niyāz-e-īñ-o-āñ ma.alūm hotī hai
sunā farhād kā qissa sunā majnūñ kā afsāna
kahā to ye kahā sab dāstāñ mālūm hotī hai
na farq aayā azal se zīnat-e-gulzār-e-hastī meñ
bahār is kī bahār-e-jāvedāñ mālūm hotī hai
abhī chashm-e-qubūl is kī taraf maa.il nahīñ shāyad
abhī har sa.ī sa.ī-e-rā.igāñ ma.alūm hotī hai
ye ḳhush-fahmī hai apnī yā nigāh-e-nāz kā jaadū
nahīñ bhī ab to zālim terī haañ mālūm hotī hai
zabāñ 'tālib' kī Taksālī jo paa.ī sab ne farmāyā
ye ḳhās-ul-ḳhās dillī kī zabāñ ma.alūm hotī hai
shabab aagin sharab-e-arghawan malum hoti hai
ye sham-e-mai-kada kitni jawan malum hoti hai
yahan mahsus hoti hai yahan malum hoti hai
KHalish KHar-e-mohabbat ki kahan malum hoti hai
ye kab muhtaj-e-tashrih-o-bayan malum hoti hai
mohabbat aap apni tarjuman malum hoti hai
rawan malum hoti hai dawan malum hoti hai
mohabbat mauj-e-bahr-e-be-karan malum hoti hai
rahin-e-minnat-e-husn-e-butan malum hoti hai
zamin-e-ku-e-jaanan aasman malum hoti hai
nihan malum hoti hai ayan malum hoti hai
mohabbat bhi KHuda-e-do-jahan malum hoti hai
mohabbat ibtida apni mohabbat intiha apni
mohabbat hasil-e-kaun-o-makan malum hoti hai
nahin koi bhi dil aisa banae jis mein ghar apna
mohabbat in dinon be-KHanuman malum hoti hai
mohabbat ko kabhi paband-e-in-o-an nahin pata
mohabbat be-niyaz-e-in-o-an malum hoti hai
suna farhad ka qissa suna majnun ka afsana
kaha to ye kaha sab dastan malum hoti hai
na farq aaya azal se zinat-e-gulzar-e-hasti mein
bahaar is ki bahaar-e-jawedan malum hoti hai
abhi chashm-e-qubul is ki taraf mail nahin shayad
abhi har sai sai-e-raigan malum hoti hai
ye KHush-fahmi hai apni ya nigah-e-naz ka jadu
nahin bhi ab to zalim teri han malum hoti hai
zaban 'talib' ki Taksali jo pai sab ne farmaya
ye KHas-ul-KHas dilli ki zaban malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.