shabnam ki aanch se jo wo sabza hara na tha
shabnam kī aañch se jo vo sabza harā na thā
sau pusht tak bahār kā shajara harā na thā
sūkhī havā udhār ke paanī pe bik ga.ī
ya.anī ki merī chashm kā kunba harā na thā
lapke the shāḳh-e-sabz pe sau sau ḳhizāñ ke rang
sunte haiñ nau-bahār kā nuqta harā na thā
tā۔bīr aañkh Daal ke kab tak ulārtī
nau-ḳhvāba-e-nashāt kā naqsha harā na thā
rishtoñ kī āb-yār thī āñkhoñ meñ garm-tāz
phir bhī sarā-e-lutf kā dariyā harā na thā
pyāsī dalīl shor tamavvuj ko oḌh kar
tishna rahī ki abr kā da.avā harā na thā
dil ḳhūn-e-chehragī kā tamannā.ī ho na kyoñ
patthar-numā.iyoñ meñ vo bushra harā na thā
majnūñ ko sāzgār thā 'dā.em' pa-e-ḳhirām
kahne ko be-giyāh thā sahrā harā na thā
shabnam ki aanch se jo wo sabza hara na tha
sau pusht tak bahaar ka shajara hara na tha
sukhi hawa udhaar ke pani pe bik gai
yani ki meri chashm ka kunba hara na tha
lapke the shaKH-e-sabz pe sau sau KHizan ke rang
sunte hain nau-bahaar ka nuqta hara na tha
ta۔bir aankh Dal ke kab tak ularti
nau-KHwaba-e-nashat ka naqsha hara na tha
rishton ki aab-yar thi aankhon mein garm-taz
phir bhi sara-e-lutf ka dariya hara na tha
pyasi dalil shor tamawwuj ko oDh kar
tishna rahi ki abr ka dawa hara na tha
dil KHun-e-chehragi ka tamannai ho na kyon
patthar-numaiyon mein wo bushra hara na tha
majnun ko sazgar tha 'daem' pa-e-KHiram
kahne ko be-giyah tha sahra hara na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.