shabnam ki nami dhup ki tabish bhi bahut thi
shabnam ki nami dhup ki tabish bhi bahut thi
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
shabnam kī namī dhuup kī tābish bhī bahut thī
bātoñ meñ gile bhī the satā.ish bhī bahut thī
kuchh raas bhī aa.e the badalte hue mausam
kuchh phuul kī fitrat meñ numā.ish bhī bahut thī
phir bhī na bujhī sham.a ḳhayāloñ kī tumhāre
āñdhī bhī bahut tez thī bārish bhī bahut thī
kuchh sāġhar-o-mīnā meñ ghulā pyaar kā amrit
nazroñ kī kabhī itnī navāzish bhī bahut thī
kāñToñ meñ bhī kyoñ ruup na aa jaatā guloñ kā
ik shāḳh pe donoñ kī rihā.ish bhī bahut thī
sāhil se na karte raheñ tūfāñ kā nazāra
ham Dūbne vāloñ kī ye ḳhvāhish bhī bahut thī
us shoḳh kī sūrat meñ kashish to thī balā kī
sīrat meñ magar fitrat-e-sāzish bhī bahut thī
tahrīr jo chehroñ kī kitāboñ meñ thī likkhī
tum ġhaur se paḌhte to nigārish bhī bahut thī
nikhrā huā kyoñ rang taġhazzul kā na hotā
us meñ jo 'kalīm' aap kī kāvish bhī bahut thī
shabnam ki nami dhup ki tabish bhi bahut thi
baaton mein gile bhi the sataish bhi bahut thi
kuchh ras bhi aae the badalte hue mausam
kuchh phul ki fitrat mein numaish bhi bahut thi
phir bhi na bujhi shama KHayalon ki tumhaare
aandhi bhi bahut tez thi barish bhi bahut thi
kuchh saghar-o-mina mein ghula pyar ka amrit
nazron ki kabhi itni nawazish bhi bahut thi
kanTon mein bhi kyon rup na aa jata gulon ka
ek shaKH pe donon ki rihaish bhi bahut thi
sahil se na karte rahen tufan ka nazara
hum Dubne walon ki ye KHwahish bhi bahut thi
us shoKH ki surat mein kashish to thi bala ki
sirat mein magar fitrat-e-sazish bhi bahut thi
tahrir jo chehron ki kitabon mein thi likkhi
tum ghaur se paDhte to nigarish bhi bahut thi
nikhra hua kyon rang taghazzul ka na hota
us mein jo 'kalim' aap ki kawish bhi bahut thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.