shabnami peDon mein koi zindagi ke git gae
shabnamī peḌoñ meñ koī zindagī ke giit gaa.e
sabz dariyā meñ nahā.e aur ḳhushī ke giit gaa.e
tairte hoñ do parinde narm lahroñ par ḳhushī se
jhiil meñ koī savere raushnī ke giit gaa.e
lauT kar aa.eñ shagufta bāliyoñ par nannhī chiḌiyāñ
lahlahā.e fasl gaañv zindagī ke giit gaa.e
āfrīñ kūñjoñ ko hai jo duur se aatī haiñ varna
kaun manzil par pahuñch kar vāpsī ke giit gaa.e
shaam kī vīrāñ saḌak par koī dīvāna musāfir
shahr kī had se nikal kar ḳhāmushī ke giit gaa.e
dhuup mausam kī sameTe pur-sukūñ bargad kā saaya
raushnī kī shaal oḌhe aadmī ke giit gaa.e
koī jangal kā muġhannī dard ke mausam meñ 'rāshid'
zard peḌoñ se lipaT kar tāzgī ke giit gaa.e
shabnami peDon mein koi zindagi ke git gae
sabz dariya mein nahae aur KHushi ke git gae
tairte hon do parinde narm lahron par KHushi se
jhil mein koi sawere raushni ke git gae
lauT kar aaen shagufta baaliyon par nannhi chiDiyan
lahlahae fasl ganw zindagi ke git gae
aafrin kunjon ko hai jo dur se aati hain warna
kaun manzil par pahunch kar wapsi ke git gae
sham ki viran saDak par koi diwana musafir
shahr ki had se nikal kar KHamushi ke git gae
dhup mausam ki sameTe pur-sukun bargad ka saya
raushni ki shaal oDhe aadmi ke git gae
koi jangal ka mughanni dard ke mausam mein 'rashid'
zard peDon se lipaT kar tazgi ke git gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.