shadid rut mein mujhe jis ka Dar ziyaada tha
shadīd rut meñ mujhe jis kā Dar ziyāda thā
girā shajar vahī jis par samar ziyāda thā
mire adū kā koī vaar bhī nahīñ chūkā
mirī safoñ meñ kahīñ ek sar ziyāda thā
palaT ke aa.e to ghoḌoñ kī pushteñ ḳhālī thiiñ
mirī sipāh meñ marne kā Dar ziyāda thā
guzishta raat qayām-o-sujūd meñ guzrī
guzishta raat qayāmat kā Dar ziyāda thā
baTā hai aaj to sab dam ghuTe se marte haiñ
tamām bhā.iyoñ ko ek ghar ziyāda thā
shadid rut mein mujhe jis ka Dar ziyaada tha
gira shajar wahi jis par samar ziyaada tha
mere adu ka koi war bhi nahin chuka
meri safon mein kahin ek sar ziyaada tha
palaT ke aae to ghoDon ki pushten KHali thin
meri sipah mein marne ka Dar ziyaada tha
guzishta raat qayam-o-sujud mein guzri
guzishta raat qayamat ka Dar ziyaada tha
baTa hai aaj to sab dam ghuTe se marte hain
tamam bhaiyon ko ek ghar ziyaada tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.