Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shafaq ko nezon pe KHun ki talash hai kyon hai

Fatima Husaini Makhfi

shafaq ko nezon pe KHun ki talash hai kyon hai

Fatima Husaini Makhfi

MORE BYFatima Husaini Makhfi

    shafaq ko nezoñ pe ḳhuuñ talāsh hai kyoñ hai

    falak tujhe bhī sutūñ talāsh hai kyoñ hai

    lagī hai dil pe to phir maan kyoñ nahīñ lete

    tumhārī 'aql ko kyoñ talāsh hai kyoñ hai

    vo fitna-gar ki jise log 'ishq kahte haiñ

    use junūñ meñ sukūñ talāsh hai kyoñ hai

    nahīñ jo tāb-e-nazar diid tamanna kyoñ

    nigāh-e-shauq fusūñ talāsh hai kyoñ hai

    safīna mauj talātum ki sāhiloñ Dhalān

    sabhī ko josh-e-junūñ talāsh hai kyoñ hai

    uThā bhī saktā hai parda vo chaah jaa.e agar

    use bhī kun-fayakūñ talāsh hai kyoñ hai

    nishān-e-sajda to zāhir hai hai nahīñ 'maḳhfī'

    yaqīñ ko hāl-e-darūñ talāsh hai kyoñ hai

    shafaq ko nezon pe KHun ki talash hai kyon hai

    falak tujhe bhi sutun ki talash hai kyon hai

    lagi hai dil pe to phir man kyon nahin lete

    tumhaari 'aql ko kyon ki talash hai kyon hai

    wo fitna-gar ki jise log 'ishq kahte hain

    use junun mein sukun ki talash hai kyon hai

    nahin jo tab-e-nazar did ki tamanna kyon

    nigah-e-shauq fusun ki talash hai kyon hai

    safina mauj talatum ki sahilon ki Dhalan

    sabhi ko josh-e-junun ki talash hai kyon hai

    uTha bhi sakta hai parda wo chah jae agar

    use bhi kun-fayakun ki talash hai kyon hai

    nishan-e-sajda to zahir hai hai nahin 'maKHfi'

    yaqin ko haal-e-darun ki talash hai kyon hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now