shafaq phulte hi teri yaad aai
shafaq phūlte hī tirī yaad aa.ī
ghane jangaloñ meñ havā sansanā.ī
na.e lams ke zā.iqe the munavvar
shabīh-e-azal is tarah jhilmilā.ī
har ik zarra āñkhoñ ko milne lagā hai
mire dasht meñ kis kī āvāz aa.ī
'alam 'ishq kā sar-nigūñ ho rahā thā
badan meñ na.ī karbalā sarsarā.ī
daraḳhtoñ ne chiḌiyoñ se kyā baat kah dī
chahakne lagī ḳhvāhish-e-be-navā.ī
ḳhudā jaane kyā hukm pesh-e-nazar thā
ki mardāna lahja huā hai nisā.ī
mirā raag hai sair-e-shahr-e-tamannā
mirā naġhma-e-jāñ hai kūcha-sarā.ī
shafaq phulte hi teri yaad aai
ghane jangalon mein hawa sansanai
nae lams ke zaiqe the munawwar
shabih-e-azal is tarah jhilmilai
har ek zarra aankhon ko milne laga hai
mere dasht mein kis ki aawaz aai
'alam 'ishq ka sar-nigun ho raha tha
badan mein nai karbala sarsarai
daraKHton ne chiDiyon se kya baat kah di
chahakne lagi KHwahish-e-be-nawai
KHuda jaane kya hukm pesh-e-nazar tha
ki mardana lahja hua hai nisai
mera rag hai sair-e-shahr-e-tamanna
mera naghma-e-jaan hai kucha-sarai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 96)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.