shagufta apna dil-e-dagh-dar rahta hai
shagufta apna dil-e-dagh-dar rahta hai
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
shagufta apnā dil-e-dāġh-dār rahtā hai
yahāñ ḳhizāñ meñ bhī lutf-e-bahār rahtā hai
tasavvur-e-ruḳh-o-gesū-e-yār rahtā hai
yahāñ ḳhayāl ye lail-o-nahār rahtā hai
tumhārī teġh-e-nigah tez kyoñ hai āshiq par
ye said aap hī har-dam shikār rahtā hai
siyāh-poshī-e-pīr-e-falak hai rāz-e-ajīb
ġham us ko kis kā hai kyoñ sogvār rahtā hai
kiyā hai āñkhoñ meñ jis din se laḳht-e-dil ne maqām
hamāre pesh-e-nazar lāla-zār rahtā hai
ḳhudā bachātā hai bas varna āshiq-e-mahjūr
ajal se aaTh pahar ham-kanār rahtā hai
jise ki gardish-e-gardūñ ne piis Daalā ho
zamīñ se kab use ḳhauf-e-fishār rahtā hai
gunāhgār huuñ 'tālib' isī sabab har-dam
ḳhayāl-e-āmad-e-roz-e-shumār rahtā hai
shagufta apna dil-e-dagh-dar rahta hai
yahan KHizan mein bhi lutf-e-bahaar rahta hai
tasawwur-e-ruKH-o-gesu-e-yar rahta hai
yahan KHayal ye lail-o-nahaar rahta hai
tumhaari tegh-e-nigah tez kyon hai aashiq par
ye said aap hi har-dam shikar rahta hai
siyah-poshi-e-pir-e-falak hai raaz-e-ajib
gham us ko kis ka hai kyon sogwar rahta hai
kiya hai aankhon mein jis din se laKHt-e-dil ne maqam
hamare pesh-e-nazar lala-zar rahta hai
KHuda bachata hai bas warna aashiq-e-mahjur
ajal se aaTh pahar ham-kanar rahta hai
jise ki gardish-e-gardun ne pis Dala ho
zamin se kab use KHauf-e-fishaar rahta hai
gunahgar hun 'talib' isi sabab har-dam
KHayal-e-amad-e-roz-e-shumar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.