shagufta ho ke baiThe the wo apne be-qararon mein
shagufta ho ke baiThe the vo apne be-qarāroñ meñ
taḌap bijlī kī paidā ho ga.ī phūloñ ke hāroñ meñ
kiyā andher apne rañj ne un kī kudūrat ne
bujhī sham-e-mohabbat haa.e do dil ke ġhubāroñ meñ
shab-e-furqat ko zāhid se sivā mar-mar ke kaaTā hai
kare mash.hūr ham ko bhī ḳhudā shab-zinda-dāroñ meñ
ye kis ne kushta-e-teġh-e-tabassum kar diyā mujh ko
mubārakbād kā ġhul ho rahā hai sogvāroñ meñ
vo ishrat jis kā sab sāmāñ hai dil meñ ho nahīñ saktī
mirī majbūriyoñ ko dekhiye un iḳhtiyāroñ meñ
hameñ vo Dhab jo aa jaatā tumhīñ par āzmāte ham
dil-e-ushshāq tum kyā kah ke lete ho ishāroñ meñ
'safīr' ab bas karo kab tak sar-e-shorīda zaanū par
ġhazal kī fikr kyuuñ kar ho sakegī intishāroñ meñ
shagufta ho ke baiThe the wo apne be-qararon mein
taDap bijli ki paida ho gai phulon ke haaron mein
kiya andher apne ranj ne un ki kudurat ne
bujhi sham-e-mohabbat hae do dil ke ghubaron mein
shab-e-furqat ko zahid se siwa mar-mar ke kaTa hai
kare mashhur hum ko bhi KHuda shab-zinda-daron mein
ye kis ne kushta-e-tegh-e-tabassum kar diya mujh ko
mubarakbaad ka ghul ho raha hai sogwaron mein
wo ishrat jis ka sab saman hai dil mein ho nahin sakti
meri majburiyon ko dekhiye un iKHtiyaron mein
hamein wo Dhab jo aa jata tumhin par aazmate hum
dil-e-ushshaq tum kya kah ke lete ho ishaaron mein
'safir' ab bas karo kab tak sar-e-shorida zanu par
ghazal ki fikr kyun kar ho sakegi intishaaron mein
- Book : Noquush (Pg. B-409 E419)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.