shagufta kar ke mujhe kya guzar gai hai saba
shagufta kar ke mujhe kyā guzar ga.ī hai sabā
mire vajūd ko taqsīm kar ga.ī hai sabā
jagā.e ḳhushbū ke dil meñ hazār-hā fitne
tapish se mehr-e-munavvar kī Dar ga.ī hai sabā
guloñ ko bahr-e-shabistāñ se gar nikālā bhī
to din ke dasht meñ ḳhud hī bikhar ga.ī hai sabā
hinā.ī haath meñ le kar ke nūr-o-nik.hat-o-rang
navāh-e-jāñ meñ hamāre utar ga.ī hai sabā
tilism ek hai milne meñ aur bichhaḌne meñ
zarā sā chhū ke mujhe phir mukar ga.ī hai sabā
misāl-e-mauja-e-ḳhusbū maiñ us ke shahr utrā
tah-e-hijāb sahī par sañvar ga.ī hai sabā
shagufta kar ke mujhe kya guzar gai hai saba
mere wajud ko taqsim kar gai hai saba
jagae KHushbu ke dil mein hazar-ha fitne
tapish se mehr-e-munawwar ki Dar gai hai saba
gulon ko bahr-e-shabistan se gar nikala bhi
to din ke dasht mein KHud hi bikhar gai hai saba
hinai hath mein le kar ke nur-o-nikhat-o-rang
nawah-e-jaan mein hamare utar gai hai saba
tilism ek hai milne mein aur bichhaDne mein
zara sa chhu ke mujhe phir mukar gai hai saba
misal-e-mauja-e-KHusbu main us ke shahr utra
tah-e-hijab sahi par sanwar gai hai saba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.