shagufta phul mein tishna-labi ko
shagufta phuul meñ tishna-labī ko
abhī rahne do is jādūgarī ko
akelī zindagī lākhoñ tamāshe
kahāñ DhūñDoge merī muflisī ko
ye merī nasl ye banda-parastī
batā kyā naam duuñ is gumrahī ko
na jaane kaun sī manzil kī dhun meñ
vo khetā jā rahā hai zindagī ko
añdheroñ kī shikāyat to bajā thī
burā vo kah rahā hai raushnī ko
kaleje se lagā tahrīr merī
kahāñ pā.egā aisī āgahī ko
havā pāgal huī jaatī hai 'bismil'
koī roke zarā is sar-phirī ko
shagufta phul mein tishna-labi ko
abhi rahne do is jadugari ko
akeli zindagi lakhon tamashe
kahan DhunDoge meri muflisi ko
ye meri nasl ye banda-parasti
bata kya nam dun is gumrahi ko
na jaane kaun si manzil ki dhun mein
wo kheta ja raha hai zindagi ko
andheron ki shikayat to baja thi
bura wo kah raha hai raushni ko
kaleje se laga tahrir meri
kahan paega aisi aagahi ko
hawa pagal hui jati hai 'bismil'
koi roke zara is sar-phiri ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.