shagufta yaadon ka mausam baDa suhana lage
shagufta yādoñ kā mausam baḌā suhānā lage
tumheñ banā luuñ maiñ apnā agar burā na lage
vo de na pā.egā merī mohabbatoñ kā javāb
use to merā har ik lafz tāziyāna lage
du'ā yahī hai mujhe bhuul jaao tum varna
tumheñ bhulāne meñ mujh ko bahut zamāna lage
qabā guloñ kī bahāroñ meñ chāk-chāk hai kyoñ
havā-e-sahn-e-chaman mujh ko bāġhiyāna lage
jalā.ūñgā maiñ havāoñ kī zad pe ab bhī diye
ye 'azm chāhe zamāne ko ḳhud-sarāna lage
sunā chuke sabhī rūdād-e-ġham unheñ 'bismil'
ab aisā giit sunāo jo dil-barāna lage
shagufta yaadon ka mausam baDa suhana lage
tumhein bana lun main apna agar bura na lage
wo de na paega meri mohabbaton ka jawab
use to mera har ek lafz taziyana lage
du'a yahi hai mujhe bhul jao tum warna
tumhein bhulane mein mujh ko bahut zamana lage
qaba gulon ki bahaaron mein chaak-chaak hai kyon
hawa-e-sahn-e-chaman mujh ko baghiyana lage
jalaunga main hawaon ki zad pe ab bhi diye
ye 'azm chahe zamane ko KHud-sarana lage
suna chuke sabhi rudad-e-gham unhen 'bismil'
ab aisa git sunao jo dil-barana lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.