shaguftagi ki riyazat ko lakhon sal hue
shaguftagī kī riyāzat ko lākhoñ saal hue
yuuñ irtiqā huā aur phuul us ke gaal hue
ye mehr-o-māh shab-o-roz kā.enāt ke rang
baham hue to kahīñ tere ḳhadd-o-ḳhāl hue
gulāb TuuT ke juuḌe meñ saj ga.e lekin
ham ek shāḳh se TuuTe to pā.emāl hue
akele rote the dil meñ guzashtagān ke zaḳhm
tire bichhaḌte hī raunaq huī nihāl hue
ajiib maḳhmase meñ paḌ gayā vo shaḳhs ulTā
mire javāb bhī ik sat.h par savāl hue
hameñ vo chāñd sā chehra nazar nahīñ aaya
hamāre roze to puure kā puurā saal hue
shaguftagi ki riyazat ko lakhon sal hue
yun irtiqa hua aur phul us ke gal hue
ye mehr-o-mah shab-o-roz kaenat ke rang
baham hue to kahin tere KHadd-o-KHal hue
gulab TuT ke juDe mein saj gae lekin
hum ek shaKH se TuTe to paemal hue
akele rote the dil mein guzashtagan ke zaKHm
tere bichhaDte hi raunaq hui nihaal hue
ajib maKHmase mein paD gaya wo shaKHs ulTa
mere jawab bhi ek sath par sawal hue
hamein wo chand sa chehra nazar nahin aaya
hamare roze to pure ka pura sal hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.