shahr ka shahr jala aur ujala na hua
shahr kā shahr jalā aur ujālā na huā
sāneha kyā ye muqaddar kā nirālā na huā
hai faqat naam ko āzādī-e-izhār-e-ḳhayāl
varna kab kis ke laboñ par yahāñ taalā na huā
TūTte shīshe ko dekhā hai zamāne bhar ne
dil ke TukḌoñ kā koī dekhne vaalā na huā
jis ne parkhā unheñ vo thī koī be-jān machine
dil ke zaḳhmoñ kā bashar dekhne vaalā na huā
kis qadar yās-zada hai ye hisār-e-zulmat
dil jalā.e bhī to har samt ujālā na huā
dasht-e-ġhurbat ke safar kī ye aziyyat-nākī
ḳhushk talvoñ kā abhī ek bhī chhālā na huā
zabt kā had se guzar jaanā yahī hai 'aḳhtar'
dil sulagtā hai magar hoñToñ pe naala na huā
shahr ka shahr jala aur ujala na hua
saneha kya ye muqaddar ka nirala na hua
hai faqat nam ko aazadi-e-izhaar-e-KHayal
warna kab kis ke labon par yahan tala na hua
TuTte shishe ko dekha hai zamane bhar ne
dil ke TukDon ka koi dekhne wala na hua
jis ne parkha unhen wo thi koi be-jaan machine
dil ke zaKHmon ka bashar dekhne wala na hua
kis qadar yas-zada hai ye hisar-e-zulmat
dil jalae bhi to har samt ujala na hua
dasht-e-ghurbat ke safar ki ye aziyyat-naki
KHushk talwon ka abhi ek bhi chhaala na hua
zabt ka had se guzar jaana yahi hai 'aKHtar'
dil sulagta hai magar honTon pe nala na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.