shahr aakar ye baat jaani hai
shahr aakar ye baat jaanī hai
zindagī gaañv kī suhānī hai
buuñd huuñ os kī magar mujh se
kyoñ samundar ne haar maanī hai
ik samundar se mil ke kho jaanā
har nadī kī yahī kahānī hai
rāh-e-ulfat se tum nahīñ Dignā
ik yahī amn kī nishānī hai
dard ne lams se kahā yaarā
choT dil par bahut purānī hai
yā-ḳhudā mujh ko baḳhsh de daulat
ik ġhazal kī kitāb laanī hai
ishq sīrat se tum karo 'pāThak'
rang faanī hai ruup faanī hai
shahr aakar ye baat jaani hai
zindagi ganw ki suhani hai
bund hun os ki magar mujh se
kyon samundar ne haar mani hai
ek samundar se mil ke kho jaana
har nadi ki yahi kahani hai
rah-e-ulfat se tum nahin Digna
ek yahi amn ki nishani hai
dard ne lams se kaha yara
choT dil par bahut purani hai
ya-KHuda mujh ko baKHsh de daulat
ek ghazal ki kitab lani hai
ishq sirat se tum karo 'paThak'
rang fani hai rup fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.