shahr-adab ki jis ghaDi jagir ban jaenge hum
shahr-adab kī jis ghaḌī jāgīr ban jā.eñge ham
kārvān-e-dil ke phir to 'mīr' ban jā.eñge ham
merī furqat meñ kabhī jo tum ne dekhe the janāb
un hasīñ ḳhvāboñ kī ik ta.abīr ban jā.eñge ham
tabsira jab bhī karegā koī mulk-o-qaum par
to qalam qirtās aur tahrīr ban jā.eñge ham
jaag jā.egā shu.ūr-e-āgahī jab tum meñ to
ḳhitta-e-hastī kī ik tanvīr ban jā.eñge ham
azm le ke dil meñ uTTheñge salāhuddīn sā
aur umr kā nāra-e-takbīr ban jā.eñge ham
jābiroñ ke zulm ko 'sābir' miTāne ke liye
haidar-e-karrār kī shamshīr ban jā.eñge ham
shahr-adab ki jis ghaDi jagir ban jaenge hum
karwan-e-dil ke phir to 'mir' ban jaenge hum
meri furqat mein kabhi jo tum ne dekhe the janab
un hasin KHwabon ki ek tabir ban jaenge hum
tabsira jab bhi karega koi mulk-o-qaum par
to qalam qirtas aur tahrir ban jaenge hum
jag jaega shuur-e-agahi jab tum mein to
KHitta-e-hasti ki ek tanwir ban jaenge hum
azm le ke dil mein uTThenge salahuddin sa
aur umr ka nara-e-takbir ban jaenge hum
jabiron ke zulm ko 'sabir' miTane ke liye
haidar-e-karrar ki shamshir ban jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.