shahr dar shahr ba-andaz-e-digar raushan hai
shahr dar shahr ba-andāz-e-digar raushan hai
har taraf apnī sadā apnā hunar raushan hai
paañv kī ḳhaak chamaktī hai sar-e-rāhguzar
koī mish.al nahīñ har naqsh-e-safar raushan hai
jis ne sho.aloñ ko sikhāyā hai lapakne kā shu.ūr
raakh ke Dher meñ ab bhī vo sharar raushan hai
khīñch dī kis ne añdhere meñ ujāle kī lakīr
ek ummīd pe har tār-e-nazar raushan hai
qāfile vāloñ ko manzil kā pata yaad nahīñ
hausla hai to har ik rāh-e-safar raushan hai
sub.h se pahle hī bujhne lage ḳhvāboñ ke charāġh
raat ke sahn meñ yādoñ kā khañDar raushan hai
shahr dar shahr ba-andaz-e-digar raushan hai
har taraf apni sada apna hunar raushan hai
panw ki KHak chamakti hai sar-e-rahguzar
koi mishal nahin har naqsh-e-safar raushan hai
jis ne shoalon ko sikhaya hai lapakne ka shuur
rakh ke Dher mein ab bhi wo sharar raushan hai
khinch di kis ne andhere mein ujale ki lakir
ek ummid pe har tar-e-nazar raushan hai
qafile walon ko manzil ka pata yaad nahin
hausla hai to har ek rah-e-safar raushan hai
subh se pahle hi bujhne lage KHwabon ke charagh
raat ke sahn mein yaadon ka khanDar raushan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.