shahr-e-afat mein hangama-e-zindan hai bahut
shahr-e-āfāt meñ hañgāma-e-zindāñ hai bahut
ishq par ab bhī musallat ġham-e-daurāñ hai bahut
ab kisī taur mujhe chhū na sakegā tirā ġham
ab mire chāroñ taraf halqa-e-yārāñ hai bahut
log hote chale jaate haiñ nigāhoñ se pare
lekin ik zehn meñ vāzeh ruḳh-e-tābāñ hai bahut
mustanad kaun se pairā.e haiñ sheroñ ke liye
ye parakhne ke liye miir kā dīvāñ hai bahut
pyaar to pyaar kudūrat bhī kahāñ rakhtā hai
mujhe bhī is kī tarah shikva-e-insāñ hai bahut
juz mire chhīn gayā hai dar-o-dīvār-o-fasīl
'soz' is baar to kam-zarfī-e-tūfāñ hai bahut
shahr-e-afat mein hangama-e-zindan hai bahut
ishq par ab bhi musallat gham-e-dauran hai bahut
ab kisi taur mujhe chhu na sakega tera gham
ab mere chaaron taraf halqa-e-yaran hai bahut
log hote chale jate hain nigahon se pare
lekin ek zehn mein wazeh ruKH-e-taban hai bahut
mustanad kaun se pairae hain sheron ke liye
ye parakhne ke liye mir ka diwan hai bahut
pyar to pyar kudurat bhi kahan rakhta hai
mujhe bhi is ki tarah shikwa-e-insan hai bahut
juz mere chhin gaya hai dar-o-diwar-o-fasil
'soz' is bar to kam-zarfi-e-tufan hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.