shahr-e-abad ka raushan moD dikha sakte ho
shahr-e-abad kā raushan moḌ dikhā sakte ho
kyā tum mujh ko sahrā paar karā sakte ho
jism kī miTTī jhaaḌ ke ḳhud ko thaam sakūñ maiñ
shāyad tum mujh ko mujh se milvā sakte ho
itne dinoñ meñ ik dilbar āvāz sunī hai
tum is ko apnā chehra pahnā sakte ho
jism kī lau meñ jal kar ruuh talak jaate haiñ
samjhā nahīñ dil dobāra samjhā sakte ho
jaate jaate kah sakte ho jald aaoge
tum bhī mujh ko bātoñ se bahlā sakte ho
dil ke safar meñ tanhā.ī hai vīrānī hai
tum chāho to ab bhī vāpas jā sakte ho
shahr-e-abad ka raushan moD dikha sakte ho
kya tum mujh ko sahra par kara sakte ho
jism ki miTTi jhaD ke KHud ko tham sakun main
shayad tum mujh ko mujh se milwa sakte ho
itne dinon mein ek dilbar aawaz suni hai
tum is ko apna chehra pahna sakte ho
jism ki lau mein jal kar ruh talak jate hain
samjha nahin dil dobara samjha sakte ho
jate jate kah sakte ho jald aaoge
tum bhi mujh ko baaton se bahla sakte ho
dil ke safar mein tanhai hai virani hai
tum chaho to ab bhi wapas ja sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.