shahr-e-alfaz mein tanha hun mujhe qatl karo
shahr-e-alfāz meñ tanhā huuñ mujhe qatl karo
maiñ ik āvāz-e-shikasta huuñ mujhe qatl karo
kyoñ mujhe dekh ke Dar jaate ho duniyā vaalo
apne hī jism kā saaya huuñ mujhe qatl karo
vahī be-chehragī likkhī hai muqaddar meñ agar
na.ī qadroñ kā maiñ chehra huuñ mujhe qatl karo
jis pe ab tak na paḌā vaqt kā koī bhī nishān
maiñ vo afkār kā shīsha huuñ mujhe qatl karo
kyoñ mujhe bazm-e-tamannā meñ uThā laa.e ho
maiñ na.ī fikr kā lamha huuñ mujhe qatl karo
zabt ke qasr meñ phir aag na lag jaa.e kahīñ
maiñ to jazbāt kā sho.ala huuñ mujhe qatl karo
tum jo tanhā.ī ke jangal meñ bhaTaknā chāho
gum-shuda shahr kā rasta huuñ mujhe qatl karo
shahr-e-alfaz mein tanha hun mujhe qatl karo
main ek aawaz-e-shikasta hun mujhe qatl karo
kyon mujhe dekh ke Dar jate ho duniya walo
apne hi jism ka saya hun mujhe qatl karo
wahi be-chehragi likkhi hai muqaddar mein agar
nai qadron ka main chehra hun mujhe qatl karo
jis pe ab tak na paDa waqt ka koi bhi nishan
main wo afkar ka shisha hun mujhe qatl karo
kyon mujhe bazm-e-tamanna mein uTha lae ho
main nai fikr ka lamha hun mujhe qatl karo
zabt ke qasr mein phir aag na lag jae kahin
main to jazbaat ka shoala hun mujhe qatl karo
tum jo tanhai ke jangal mein bhaTakna chaho
gum-shuda shahr ka rasta hun mujhe qatl karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.