shahr-e-dil aisa ki hairan thi tilismat ki gard
shahr-e-dil aisā ki hairāñ thī tilismāt kī gard
jam ga.ī jis ke dar-o-bām pe ḳhadshāt kī gard
ek hī naam faqat mujh ko dikhā.ī diyā hai
saaf kartā rahā ik 'umr maiñ safhāt kī gard
maiñ ne kuchh shahroñ meñ yuuñ ḳhaak uḌī dekhī hai
jaan le kuchh bhī nahīñ tere mazāfāt kī gard
ab koī gard bhī ho mujh ko zarā farq nahīñ
aañkh meñ jab se paḌī tere ishārāt kī gard
tere ā'māl ki jis tarh riyā-kārī kī dhuul
tere afkār ki ho jaise tazādāt kī gard
gaañv meñ amn se rahte haiñ vafā karte haiñ
shukr hai ham pe nahīñ paḌtī mahallāt kī gard
ab mujhe tū hī batā kaise tujhe dekhtā maiñ
chaar sū uḌtī rahī tere ḳhayālāt kī gard
shahr-e-dil aisa ki hairan thi tilismat ki gard
jam gai jis ke dar-o-baam pe KHadshat ki gard
ek hi nam faqat mujh ko dikhai diya hai
saf karta raha ek 'umr main safhat ki gard
main ne kuchh shahron mein yun KHak uDi dekhi hai
jaan le kuchh bhi nahin tere mazafat ki gard
ab koi gard bhi ho mujh ko zara farq nahin
aankh mein jab se paDi tere ishaaraat ki gard
tere aa'mal ki jis tarh riya-kari ki dhul
tere afkar ki ho jaise tazadat ki gard
ganw mein amn se rahte hain wafa karte hain
shukr hai hum pe nahin paDti mahallat ki gard
ab mujhe tu hi bata kaise tujhe dekhta main
chaar su uDti rahi tere KHayalat ki gard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.