shahr-e-dil-e-jamal ka kis ne ye haal kar diya
shahr-e-dil-e-jamāl kā kis ne ye haal kar diyā
āñkhoñ meñ tīrgī bharī hañsnā muhāl kar diyā
tum se hamārā dard kā rishta hī jab nahīñ rahā
kaise kaheñ ki dard ne kaisā niDhāl kar diyā
lab pa shikāyateñ na thiiñ jī meñ bahut malāl thā
us pe tumhāre zikr ne āñkhoñ ko laal kar diyā
poroñ pe āsmān ko rakhnā bahut muhāl thā
maiñ ne junūn-e-shauq meñ ye bhī kamāl kar diyā
us kā kahā to sach na thā merā sunā bhī sach na thā
lekin fasīl-e-vaqt ne manzar ujaal kar diyā
vo dard jo thā āshnā us ko kahāñ se laa.eñ ab
us ke baġhair ziist ne jiinā vabāl kar diyā
mushkil bahut thā pūchhnā kaise mujhe bhulā diyā
jab tere rū-ba-rū huī fauran savāl kar diyā
shahr-e-dil-e-jamal ka kis ne ye haal kar diya
aankhon mein tirgi bhari hansna muhaal kar diya
tum se hamara dard ka rishta hi jab nahin raha
kaise kahen ki dard ne kaisa niDhaal kar diya
lab pa shikayaten na thin ji mein bahut malal tha
us pe tumhaare zikr ne aankhon ko lal kar diya
poron pe aasman ko rakhna bahut muhaal tha
main ne junun-e-shauq mein ye bhi kamal kar diya
us ka kaha to sach na tha mera suna bhi sach na tha
lekin fasil-e-waqt ne manzar ujal kar diya
wo dard jo tha aashna us ko kahan se laen ab
us ke baghair zist ne jina wabaal kar diya
mushkil bahut tha puchhna kaise mujhe bhula diya
jab tere ru-ba-ru hui fauran sawal kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.