shahr-e-gham ki tamam galiyon mein
shahr-e-ġham kī tamām galiyoñ meñ
kar rahā huuñ kalām galiyoñ meñ
aa gayā huuñ maiñ lauT kar ghar se
kījiye ehtimām galiyoñ meñ
kyā tujhe 'ilm hī nahīñ hai dost
ḳhaas hote haiñ 'aam galiyoñ meñ
aaj vo ho ga.e fanā-fillāh
lag ga.e jin ke daam galiyoñ meñ
phir mulāqāt ho nahīñ saktī
āḳhirī hai qiyām galiyoñ meñ
paañv meñ Daal kar tirī zanjīr
phir rahā hai ġhulām galiyoñ meñ
hai nazar-bāz aadmī vo 'nadīm'
kar rahā hai jo shaam galiyoñ meñ
shahr-e-gham ki tamam galiyon mein
kar raha hun kalam galiyon mein
aa gaya hun main lauT kar ghar se
kijiye ehtimam galiyon mein
kya tujhe 'ilm hi nahin hai dost
KHas hote hain 'am galiyon mein
aaj wo ho gae fana-fillah
lag gae jin ke dam galiyon mein
phir mulaqat ho nahin sakti
aaKHiri hai qiyam galiyon mein
panw mein Dal kar teri zanjir
phir raha hai ghulam galiyon mein
hai nazar-baz aadmi wo 'nadim'
kar raha hai jo sham galiyon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.