Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-KHirad se nur-e-sahar kaun le gaya

Betab Kaifi

shahr-e-KHirad se nur-e-sahar kaun le gaya

Betab Kaifi

MORE BYBetab Kaifi

    shahr-e-ḳhirad se nūr-e-sahar kaun le gayā

    sub.h-e-safar se rāz-e-zafar kaun le gayā

    āseb-e-ḳhauf de ke hudūd-e-nigāh ko

    chehroñ ke sabz sabz nagar kaun le gayā

    ḳhvāboñ ḳhaak ho ga.iiñ shādāb bastiyāñ

    sūraj raushnī ko idhar kaun le gayā

    bikhrī paḌī huī hai 'imārat yaqīn

    fitnoñ shahr-e-dil meñ sharar kaun le gayā

    kitnī sukūñ-navāz thī yaḳh-bastagī fasl

    sho'loñ ke zard phuul magar kaun le gayā

    samtoñ se kaT ke andhe safar par ho gāmzan

    hosh-o-nigāh-o-'azm-o-jigar kaun le gayā

    insāniyat ḳhulūs navāzish mohabbateñ

    jismoñ ke sāya-dār shajar kaun le gayā

    kartī thī kal jo jism fazā ko lahū lahū

    'betāb' ab vo barq-e-nazar kaun le gayā

    shahr-e-KHirad se nur-e-sahar kaun le gaya

    subh-e-safar se raaz-e-zafar kaun le gaya

    aaseb-e-KHauf de ke hudud-e-nigah ko

    chehron ke sabz sabz nagar kaun le gaya

    KHwabon ki KHak ho gain shadab bastiyan

    suraj ki raushni ko idhar kaun le gaya

    bikhri paDi hui hai 'imarat yaqin ki

    fitnon ka shahr-e-dil mein sharar kaun le gaya

    kitni sukun-nawaz thi yaKH-bastagi ki fasl

    sho'lon ke zard phul magar kaun le gaya

    samton se kaT ke andhe safar par ho gamzan

    hosh-o-nigah-o-'azm-o-jigar kaun le gaya

    insaniyat KHulus nawazish mohabbaten

    jismon ke saya-dar shajar kaun le gaya

    karti thi kal jo jism faza ko lahu lahu

    'betab' ab wo barq-e-nazar kaun le gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now