shahr-e-mustaqbil mein jaya ja sakta hai
shahr-e-mustaqbil meñ jaayā jā saktā hai
vaqt ko aage pīchhe laayā jā saktā hai
paanī par buniyādeñ rakkhī jā saktī haiñ
biich samundar shahr basāyā jā saktā hai
us fehrist meñ ab ḳhushbū bhī shāmil hai
jin chīzoñ ko haath lagāyā jā saktā hai
merā ka.ī jagah par honā mumkin hai
us ko milne merā saaya jā saktā hai
jin bātoñ par ḳhuun bahā dete ho tum
un bātoñ par haath milāyā jā saktā hai
kuchh logoñ meñ baat hī aisī hotī hai
kuchh logoñ se dhoka khāyā jā saktā hai
'muqsit' ġhussa aayā to mā'lūm huā
piine vaalī chiiz ko khāyā jā saktā hai
shahr-e-mustaqbil mein jaya ja sakta hai
waqt ko aage pichhe laya ja sakta hai
pani par buniyaaden rakkhi ja sakti hain
bich samundar shahr basaya ja sakta hai
us fehrist mein ab KHushbu bhi shamil hai
jin chizon ko hath lagaya ja sakta hai
mera kai jagah par hona mumkin hai
us ko milne mera saya ja sakta hai
jin baaton par KHun baha dete ho tum
un baaton par hath milaya ja sakta hai
kuchh logon mein baat hi aisi hoti hai
kuchh logon se dhoka khaya ja sakta hai
'muqsit' ghussa aaya to ma'lum hua
pine wali chiz ko khaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.